Pitron ki shanti ke liye kya karna chahiye?
Hamare purvajon ne hamein jeevan, sanskar aur parivar diya hai. Unhe yaad karna aur unke liye prarthana karna sirf ek rasm nahi, balki kritagyata ka bhaav hai. Shastron mein kaha gaya hai ki jab pitar santusht hote hain to parivar par unka aashirwad bana rehta hai.
Sabse saral upay hai tarpan. Amavasya ke din ya Pitru Paksha mein subah snaan karke, dakshin disha ki or mukh karke, jal mein kaale til milakar pitron ka naam lete hue arpan kiya jata hai. Iske saath "Om Pitribhyo Namah" ka jap bhi kiya ja sakta hai.
Doosra upay hai daan aur seva. Pitron ke naam se kisi zarooratmand ko bhojan karana, gau seva karna, ya kisi brahman ko vastra aur anna ka daan dena shubh maana jata hai. Ghar ke buzurgon ka samman aur seva bhi pitron ki seva ke barabar maani jaati hai.
Agar parivar mein lagatar pareshaniyan aa rahi hon aur kundli mein Pitra Dosh ka sanket ho, to vidhi-poorvak Pitru Dosh Puja, Shraddh ya Ganga ji par Pind Daan karwaya jata hai. Shanti Mantra ke Pitr Puja section mein aisi pujayein uplabdh hain, aur Haridwar ke Ganga Ghat par Pind Daan bhi book kiya ja sakta hai.
Sabse zaroori baat hai bhaav. Pitron ki punyatithi par unki tasveer ke saamne diya jalana, unki pasand ka bhojan bana kar bhog lagana, aur parivar ke saath baith kar unhe yaad karna - yeh chhoti baatein bhi bahut gehri hoti hain. Shraddha se kiya gaya har karya hi asli shraddh hai.